Saturday, 13 April 2013

dhoop..chhup jao kahin...

dhoop chhupp jao kahin...dhal jao agar chaho to..
girne do kuchh boondein...in palkon par baarish ki...

padne do mujh par bhi, saawan ke bheege ehsaas...
tar lene do mujhe bhi, ek arsaa jalne ke baad...

sun-ne do mujhko bhi phir wahi baadalon ki garaj...
darne do mujhe bhi kadakti bijliyon ke baad...

tham jaayen naa yeh saansein..ruk jaaye naa yeh lamhe...
jee lene do mujhe bhi saawan ki badliyon mein...

ab ke jo mann yeh bheege toh sookhne na paaye...
baarish ki yeh fuhaarein yun hi barasti jaayen...

jab chaho chalee aana phir khilkhilane tum...
chaho to jala jaana phir apne tewaron se...

abhi chhupp jao kahin...dhal jao agar chaho to..
girne do chand boondein...in palkon par baarish ki...